Hai Qalb e Ummat Siddiq e Akbar Lyrics
Hai Qalb e Ummat Siddiq e Akbar
Lyrics
nabi ka mohsin, Khalifa awwal
sadaqaton ka azeem pekar
hamen abu bakar jaa n se pyara
hai qalb-e-ummat siddiq-e-akbar
nabi ho daamaad jis bashar ka
bashar wo kitna azeem tar hai
tamaam ashaab ka wo salaar
rahbar o zaat e-motabar hai
mila ke shaana chala nabi se
kathin maraahil men be Khatar hai
saf e adoo pe gira hamesha
wo barq e imaa n kadakti ban kar
nabi ka mohsin, Khalifa awwal
sadaaqaton ka azeem pekar
hamen abubakr jaan se pyara
hai qalb e ummat siddiq e akbar
wo raazi rab se, rab us se raazi
wo paak, be daagh, gul badan tha
tha jannati shakhs qaul e aaqa
wo noor e imaan ki anjuman tha
wo halqa e dostaan men Khushbu
wo razm e baatil men safshikan tha
wo aaj bhi mominon ki dhadkan
munaafiqon ke liye hai Khanjar
nabi ka mohsin, Khalifa awwal
sadaqato.n ka azeem pekar
hamen abu bakr jaan se pyaara
hai qalbe ummat siddiq e akbar
tha ham safar, yaar e Ghaar e sarwar
wafa ki ik jaavidaan nishaani
dayaar e makka men sang aaqa
ke sah gaya zulm o bad zubaani
tha baad az ambiya wo afzal
ki deen ki jis ne tarjumaani
wali nabi ka, umar ka saathi
Gani ki dhadhkan, wo jaan e haidar
nabi ka mohsin, khalifa awwal
sadaqaton ka azeem pekar
hamen abu bakr jaan se pyara
hai qalb e ummat siddiq e akbar
ajab sakhawat nabi ke ailaan
pe mohabbat se ghar lutaya
zakaat o Khairaat rokne wale
fitna baazon ka sar uraya
kabhi nubuwwat ke dawedaaron
ka jad se naam o nishaan mitaaya
kya shaan rab ne sula diya
un ko rauza e mustafa ke andar
nabi ka mohsin, Khalifa awwal
sadaaqaton ka azeem pekar
hamen abu bakr jaan se pyaara
hai qalb e ummat siddiq e akbar
Artists
Azans
- Mehdi Yarrahi 15 Listeners
- Muhammad Al Luhaidan 129 Listeners
- Saad Al ghamdi 145 Listeners
- Ahmad Al Nafees 187 Listeners
- Hafiz Junaid Ur Rehman 207 Listeners
- Atif Aslam 327 Listeners
- Ahmed Abdurahman Darar 153 Listeners
- Islam Sobhi 115 Listeners
- Mishary Rashid Alafasy 74 Listeners
- ibrahim Al Arkani 278 Listeners
- Majid Al Hamthany 242 Listeners
- Hamad Daghriry 464 Listeners
- Mansoor Az-Zahrani 772 Listeners